ai rabb-e-zul-jalal hai meri khata buland lekin khata se badh ke hai teri ata buland aankhen jhuki hui hain saron par hijab hai kirdar munfarid hai jo hum ne rakha buland moti jhalak rahe hain jo shabnam ke ot se phulon se gulsitan ki hui hai faza buland husn-o-jamal chand sitaron ka tazkira is dastan-e-shokh mein sab kuchh kaha buland kis ka lahu fazaon mein phaila hai har taraf badli se ho raha hai jo rang-e-hina buland tute hue dilon ko ghazal mein saja diya shishagari mein 'chashma' hai us ki ada buland