wo har tufan jo ham-aghosh-e-sahil hota jata hai husul-e-gauhar-e-taban mein hail hota jata hai mera zauq-e-tajassus kaamgar o kaamran hoga daraaz ab kis liye daman-e-sahil hota jata hai jo uqda koshish-e-paiham se aasan karta jata hun wo uqda aur mushkil aur mushkil hota jata hai na jaane kis tarah kis waste kis dil se pita hun zamana hai ki sarf-e-wahm-e-baatil hota jata hai khuda jaane mujhe wo dekhte hain kin adaon se ki gham aahista aahista mera dil hota jata hai tere honton se saqi jis qadar main pita jata hun jawani ka mujhe ehsas-e-kaamil hota jata hai kahan tak shikwa-e-be-mehri-e-ahbab ai hamdam zamana darpae-azar-e-'bismil' hota jata hai