ai ranj-e-agahi koi chaara to hoga na chal khush na rah sakenge guzara to hoga na ye aarzu bhi waqt ke dhaare mein bah gai ab nan sahi kabhi wo hamara to hoga na jati hai jo mata-e-dil-o-jaan to kya malal ye ishq ki dukan hai khasara to hoga na har aan jis ka zikr hai us be-niyaz ne bhule se mera nam pukara to hoga na main zad-e-rah ke taur pe bas khwab lai hun ai ham-safar tujhe ye gawara to hoga na kya ajnabi banenge agar phir kabhi mile kya baat bhi na hogi ishaara to hoga na karna karana chhod zabani hi sath de tinke ka ho agarche sahaara to hoga na