khayal jin ka hamein roz-o-shab satata hai kabhi unhen bhi hamara khayal aata hai tumhaara ishq jise khak mein milata hai isi ki khak se phir phul bhi khilata hai dhalegi raat to phailega nur bhi is ka charagh apna sar-e-sham jhilmilata hai na tai hui teri sham-e-jamal se bhi jo rah wahin pe mera junun rasta dikhata hai na jaane shauq ko aadat hai kyun bahakne ki tera hijab to be-shak adab sikhata hai kahan bujhae se bujhte hain ishq ke shoale charagh yun to jo jalta hai bujh bhi jata hai ye baad-e-rah-e-guzar dar-khur-e-chaman na sahi ghubar ka bhi thikana nikal hi aata hai junun ki chaal pe thitki na wo nazar tanha yahan zamana bhi qadmon mein lot jata hai hai tere gham ki gham-e-rozgar se sazish kahan kahan dil-e-diwana kaam aata hai 'surur' jins-e-wafa bechte nahin phirte jigar ke dagh dikhana to sab ko aata hai