ai rashk-e-mahr koi bhi tujh sa hasin nahin zohra nahin pari nahin mah-e-mubin nahin tanha nahin hun qabr mein arman wasl kya hamdam nahin rafiq nahin ham-nashin nahin aa kar chaman mein aah-e-khizan ne ye kya kiya bela nahin gulab nahin ya samayn nahin aisa koi nahin jo tere dard-e-hijr se ghamgin nahin hazin nahin andohgin nahin uryani-e-badan hai ajab mukhtasar libas daman nahin hai jeb nahin aastin nahin sharminda kya dahan-o-rukh-o-zulf-e-yar se ghuncha nahin gulab nahin mushk-chin nahin badh kar mithas mein lab-e-shirin yar se misri nahin hai qand nahin angbin nahin josh-e-junun mein ab tere bimar-e-ishq mein danish nahin khirad nahin ra-e-matin nahin insan hai jahan mein wahi aadmi ki jo zalim nahin haris nahin aib-bin nahin zardar aur malak hain afsos hind mein chandi nahin tala nahin durr-e-samin nahin kyunkar kalam ho mera be-misl 'barq' mein 'urfi' nahin 'kamal' nahin 'bin-mubin' nahin