ghaib se sahra-nawardon ka mudawa ho gaya daman-e-dasht-e-junun zakhmon ka phaha ho gaya maut aai ji gae chhut kar gham-o-andoh se ye naya marna hai jis ka nam jina ho gaya khud ko bhi dekha na aankhen khol kar misl-e-habab bahr-e-hasti mein faqat dam ka damama ho gaya ye zamana wo nahin munh se nikale haq koi yaad kar mansur par kya hashr barpa ho gaya suraten kya kya na badlin mere soz-e-ishq ne ashk aankhon mein bana honton pe chhaala ho gaya naz se chhati par us ne panw jis dam rakh diya dil hua thanda kaleja hath bhar ka ho gaya hum ne pala muddaton pahlu mein hum koi nahin tum ne dekha ek nazar se dil tumhaara ho gaya kahne ko majzub hum hain dil mein goya aur hai nek-o-bad jo kuchh hamare munh se nikla ho gaya jab se ai 'taslim' ki hai baiat-e-dast-e-subu din saghar ho gaya iman mina ho gaya