ai rashk-e-qamar aage tere shams-o-qamar kya sau jaan se fida hun main ye hai jaan-o-jigar kya ek aan mein dete ho jila ishq ke mare in baaton se thi isi-e-mariyam ko khabar kya ghairat mein mohabbat mein murawwat mein tera misl paya nahin hum ne kahin aur hoga bashar kya din bhar hai tasawwur hai magar baat ko rona karte hain miyan dekhiye ye dida-e-tar kya hum tum hain dil-o-jaan se agar ek hi 'mardan' kahne ko hain wo ek hain hum do hain magar kya