khud apne aks ko apni nazar mein kya rakhna ki hum ne chhod diya ghar mein aaina rakhna kisi ke ped ka saya na aa sake ghar mein gharon ke bich mein itna to fasla rakhna tamam umr hi chahe udan mein guzre parai shakh pe hargiz na ghonsla rakhna meri nazar bhi andheron se ub sakti hai koi charagh to yaro jala hua rakhna lo tum bhi shauq se 'aslam' se ehtiyat rakho hamein bhi aa gaya apnon se fasla rakhna