ai 'raza' khud ko asir-e-rahguzar kahna pada waqt aise rahzan ko ham-safar kahna pada baat ye hai hum ne khud apna liya jo dosto zindagi ke is chalan ko mo'atabar kahna pada hum to sadiyon se sitaron ki tarah khamosh the gham ka afsana tere israr par kahna pada alamiya is se siwa 'sabir' 'raza' kya aur ho apne sare doston ko kam-nazar kahna pada