ban kar jo koi samne aata hai aaina kheme mein dil ke aa ke lagata hai aaina wo kaun hai ye mujh se kabhi puchhta nahin main kaun hun ye mujh ko batata hai aaina is aks ke bar-aks koi aks hai kahin kyon aks ko bar-aks dikhata hai aaina khud ko sajae jate hain wo aaine ko dekh jalwon se un ke khud ko sajata hai aaina khud aaine pe un ki thaharti nahin nazar kaise phir un se aankh milata hai aaina ye mera aks hai to magar ajnabi sa hai kyon kar mujhe mujhi si chhupata hai aaina kab dil ke aaine mein khila karte hain gulab kab aaine mein phul khilata hai aaina aaweza dekhte hain wo jhuk kar qarib se ya un ko koi raaz batata hai aaina jab mera aks mujh se mumasil nahin raha kyon mera aks mujh ko dikhata hai aaina is aaine mein aks kisi ka hai raat-din 'ahmad' ye ishq dil ko banata hai aaina