ai saba jazb pe jis dam dil-e-nashad aaya apni aaghosh mein ud kar wo pari-zad aaya mahw-e-abru ke liye khanjar-e-faulad aaya zabh karna bhi na tujh ko mere jallad aaya sar-kashi par jo wo sarw-e-sitam-ijad aaya pas aare ke ghisatta hua shamshad aaya chashm-e-musa hama-tan ban gaya main hairat se dekha ek but ka wo aalam ki khuda yaad aaya dam-e-aghaz-e-junun tauq gulu-gir hua ghul machane bhi na pae thi ki haddad aaya kat gae mare khajalat ke jawanan-e-chaman badh par qad jo tera o sitam-ijad aaya aashiqon se na raha koi zamana khali kabhi wamiq kabhi majnun kabhi farhad aaya dil mein ek dard utha aankhon mein aansu bhar aae baithe baithe hamein kya jaaniye kya yaad aaya roe ghurbat mein hujum-e-gul-e-sahrai par chaman-e-majma-e-yaran-e-watan yaad aaya mizha-e-yar ke nashtar ke hue saudai khun-e-fasid ki tarah josh mein fassad aaya ban gaya khal-e-jabin kaukab-e-bakht-e-yusuf kis taraqqi pe tera husn-e-khuda-dad aaya aariz-e-saf ka khincha na gaya jab naqsha aaina le ke tere samne bahzad aaya bait-e-hasti ke 'saba' ho gae mani raushan khwaja-'atish' sa zamane mein jo ustad aaya