muskuraega magar baat nahin manega dekh lo kar ke mulaqat nahin manega aap se mangega har shai ki dalil-e-mohkam ye fasane ye riwayat nahin manega qaul de dega to jaan de ke nibhaega use chahe kaise bhi hon haalat nahin manega pesh karne mein jise jazba-e-ikhlas na ho aise tohfe ko wo saughat nahin manega abr sahra pe barasta hai to barse jam kar chand bundon ko wo barsat nahin manega yun to ikram karega wo sabhi ka lekin sab ko minjumla-e-sadat nahin manega us se rudad-e-gham-e-dil main kahun kaise 'tufail' jab yaqin hai ki wo bad-zat nahin manega