ai salik intizar-e-haj mein kya tu hakka-bakka hai baghole sa tu kar le tauf-e-dil pahlu mein makka hai charagh-e-gul ko raushan kar diya aahon ke shoale se hazaron darje bulbul kham-parwanon se pakka hai jo hai har sang mein pinhan so aatish lal se chamki sabhi mein haq hai har aarif mein kya sewa jhamakka hai gai nin bu-e-shir us lab se lekin dekh wo talat wahi mahtab ka hai aab-o-afsurda ho chakka hai ai rab irfan ke darpan ko na rowe jauhar-e-khwahish hawas ki mauj almas-e-safa-e-dil ko lakka hai wo zulf-o-ru se jag hai kufr-o-iman ke taraddud mein do dil karne kun ek aalam ke mera shokh pakka hai dil-e-bairagi-e-'uzlat' mein rakhta hai dam-e-hasti kamar mein us miyan ke jaise saili ka mutakka hai