ashk-bari ka meri aankhon ne ye bandha hai jhad dubte dikhlai den hain ta-kamar sare pahad ghair ko tu ne ishaarat ki chura kar hum se aankh hum bhi ek ayyar hain pyare gae fil-faur tad mujh ko kya be-khud kiya saqi ki chashm-e-mast ne ek nigah-e-tund se us ne safen dalin pachhad un ko phir shor-e-qayamat bhi utha sakta nahin mard rah-e-ishq mein jo baithte hain panw gad hum to mayus-e-rihai is baras hain ham-safir baal-o-par sayyaad ne dale qafas mein sab ukhad jab talak dil mein na ho ek shakhs ki ulfat ko rah kholna be-faeda hai dekh use ghar ke kiwad wo jo laila hai mere dil mein sune us ka jo shor qais nikle gor se bahar kafan ko chir-phad shaikh mai-khana ki mat chal rah mai-khwaron se dar mil ke do bad-mast denge aap ki saj wan bigad yan nafas mein karte hain apni par-afshani ki sair farighul-baal ab hain gul-chini se hum daman ko jhad parda-e-mina mein rakhti hai sabhon se tak-jhank dukhtar-e-raz se nahin dekhi koi gajjhi khilad sukh kar har ustukhwan jun ne hai us ke ishq mein sach hai jo mutrib pisar ka uthta hai sine mein had chandni mein jab wo nau-khat nimcha le hath mein mah us ko dekh lene ki sipar le munh pe aad apne rahne ko jo tu chahe so kar un mein pasand do makan duniya mein hain aabaad ek aur ek ujad mai-kade mein mast hain aur shor un ka haw ho madrase mein shaikh hain aur wae-waila tauba dhad shakl-e-mah us mehr-wash bin apni nazron mein 'muhib' hai ye kuchh pur-dud jun jhukta hai bhadbhunje ka bhad