ai shauq ke matwale kuchh tujh ko khabar bhi hai ek tu hi nahin ruswa wo rashk-e-qamar bhi hai dil aaina-e-mahfil aur mahfil-e-aina dekho meri aankhon mein aaina-e-tar bhi hai ai shoala-e-jawwala tuk sath use bhi le muddat se tamanna mein ek khak-basar bhi hai dil teri kashakash se aae to mere ghar wo chehre pe magar un ke kuchh gard-e-safar bhi hai main un ka hun shaidai mujh se unhen nafrat hai duniya-e-mohabbat mein jannat bhi saqar bhi hai is wada-e-farda ka kya khak yaqin aae lab par to tere han hai aankhon mein magar bhi hai aaina-e-mani par ki hum ne jila 'naqwi' ab bhi jo na ho qail puchho ki nazar bhi hai