ai dost judai ka ab koi mudawa de ya aatish-e-hijran ko kuchh aur bhi bhadka de ai bahr-e-sakha aakhir kab tak ye ghalat-bakhshi sahra ko mile qatra aur zarre ko dariya de wo ghuncha-dahan bole kuchh munh se ki mat bole ai baad-e-saba mera paigham to pahuncha de angur ka ras pi kar taskin nahin hoti tapte hue honton se tapti hui sahba de aaghaz-e-mohabbat kya tamhid-e-kharabi hai ai tark-e-jafa-pesha han kuchh to ishaara de nakaam-e-tamanna se tu kaam ki baaten kar ai husn-e-bahana-ju mat kal ka bhulawa de hum ishq ke maron ke andaz nirale hain dekho to bahut uljhe samjho to bahut sade us wada-e-farda ka kya khak yaqin aae har subh shab-e-gham ko jo aur badhawa de 'naqwi' jise khud apni nazron pe na ho qabu gustakh-nigahi ki wo tujh ko saza kya de