ai sitamgar ai hawa-surat

ai sitamgar ai hawa-surat
gahe-gahe hamein dikha surat

koi surat nahin hai ab mumkin
hai yahi ek mumkina surat

jaan mein jaan aai muddat baad
jab nazar aai aashna surat

guftugu ghair se rahi us ki
main faqat dekhta raha surat

zehn-o-dil mein samaegi kaise
ye tasawwur se mawara surat

parkon mein dikhai deti hai
ek se ek dilruba surat

dekh leta hai aadmi sab kuchh
yaad hoti hai aaina-surat

dil mein bharti hai waswase 'nami'
ye tumhaari khafa-khafa surat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close