naya suraj naya dariya nai kashti banate hain nai taswir mein duniya zara maili banate hain zara sa cute kar dete hain andeshon ke bhuton ko magar ummid ki pariyan zara ugly banate hain mukammal soch lete hain chalo is bar phir tujh ko chalo is bar bhi surat teri aadhi banate hain yaqini baat hai baatin ki tariki na kam hogi tasalli ke liye zahir ko nurani banate hain jahan khwabon ka kambal odh kar soti hain aawazen wahin raaton mein kuchh diwane khamoshi banate hain wo kankar phenkte hain jhil mein kya soch kar 'sabir' fana karte hain khud ko ya ki la-sani banate hain