ai tassub zada duniya tere kirdar pe khak bughz ki gard mein lapte hue mear pe khak ek arse se mari zat mein aabaad hai dasht ek arse se padi hai dar-o-diwar pe khak wo ghazalon se abhi sikh ke ram lauta hai baal hain dhul mein gum aur lab-o-rukhsar pe khak mujhe palkon se safai ki saadat ho nasib dal kar jae hua roz dar-e-yar pe khak ek khutba jo diya hazrat-e-zainab ne 'khayal' aaj tak dal raha hai kisi darbar pe khak