main kho gaya hun kahan aashiyan banate hue zamin bhul gaya aasman banate hue sitara-war chamakta har ek zarra mera bikhar na jae kahin kahkashan banate hue tumhaare nam pe main jal-bujha to ilm hua ki sud banta hai kaise ziyan banate hue mahaz par hi raha hun lahu ke bujhne tak qalam hue mere bazu kaman banate hue qadam kuchh aisa utha aakhiri qadam ki 'latif' main do jahan se gaya ek jahan banate hue