ai wahshat-e-jaan dard ke shahkar bahut hain

ai wahshat-e-jaan dard ke shahkar bahut hain
zinda hain magar log ye bimar bahut hain

nafrat mein nahin aib mohabbat pe hai bandish
is shahr mein is tarz ke mear bahut hain

ye mashq-e-tabassum hai faqat rasm-e-zamana
shikwe to pas-e-parda-e-izhaar bahut hain

ek mujh ko tera dard bhi manzur hai jaanan
khushiyon ke teri warna talabgar bahut hain

virane mein ho sakta hai mahfuz rahen hum
insan ki nagri mein to khunkhar bahut hain

jismon ki tijarat to hamesha se hui hai
ruhon ke bhi is daur mein bazar bahut hain

masum-e-gunah sirf gunahgar wahin hain
jis shahr mein insaf ke darbar bahut hain

thahre hue aansu kai jagi hui raaten
'asim' pe tere dard ke aasar bahut hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close