bas ab ki yar KHamoshi ki intiha bole

bas ab ki yar khamoshi ki intiha bole
badhe sukut kuchh itna ki khud khuda bole

ghalat hai puchhna logon se dastan-e-sitam
zaban pe muhr lagi ho to koi kya bole

bandhenge band kahan aandhiyon ki lahron par
kiwad khol do aisa na ho hawa bole

jo ek ghar ke masail sunane aae the
wo shahryar ke aage juda juda bole

sada-e-pa hai teri tu nahin qarib magar
falak pe abr nahin hai magar ghata bole

kisi ko rabt nahin hai fan-e-samaat se
ye haal ho to koi kis qadar bhala bole

wo mujh se baat kare jab to yun lage 'asim'
ki aashna se koi ghair-ashna bole


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close