ai waqt ham-qadam tere chalna na aa saka kyon mausamon ke sath badalna na aa saka logon ne aasman ke sitaron ko chhu liya hum ko riwayaton se nikalna na aa saka wo rahm ki nazar se hamein dekhte hi kyon daman pakad ke hum ko machalna na aa saka hum apni hajaton ki ghulami mein aa gae zindan ki bandishon se nikalna na aa saka waqif the zindagi ke nasheb-o-faraaz se yun halqa-e-khudi se nikalna na aa saka duniya badal chuki hai tayyush mein zindagi hum ko to ek nafas bhi badalna na aa saka apni nazar se gir ke sanbhal bhi gae to 'shad' un ki nazar se gir ke sanbhalna na aa saka