tum pe main mar raha hun marne do kaam karne ka hai ye karne do un ko ai ham-nashin sanwarne do koi marta jo hai to marne do na-rawa zulm un ko karne do khun-e-nahaq mein hath bharne do bandhi talwar khul pada joda khae lachke teri kamar ne do khun bolega sar pe chadh ke wahan qatl kar ke yahan mukarne do chhinte kausar ke waizo dena abhi shishe mein to utarne do bazm barkhast mai-kasho na karo mera jam-e-sifal bharne do dekhna thandi garmiyan un ki un ko hammam mein nikharne do chup hui kyon zaban kyon roki phul jhadne do gul katarne do khud pareshan ru-siyah hogi kan bharti hai zulf bharne do josh par sail-e-ashk hai thero hain chadhin naddiyan utarne do fikr kyon hai namak-fishani ki zakhm aa le abhi hain bharne do mahw-e-shukr-e-jafa raho tum 'badr' zulm karte hain wo to karne do