ai yaqinon ke khuda shahr-e-guman kis ka hai nur tera hai charaghon mein dhuan kis ka hai kya ye mausam tere qanun ke paband nahin mausam-e-gul mein ye dastur-e-khizan kis ka hai rakh ke shahr mein ek ek se main puchhta hun ye jo mahfuz hai ab tak ye makan kis ka hai mere mathe pe to ye dagh nahin tha pahle aaj aaine mein ubhra jo nishan kis ka hai wahi tapta hua sahra wahi sukhe hue hont faisla kaun kare aab-e-rawan kis ka hai chand rishton ke khilaune hain jo hum khelte hain warna sab jaante hain kaun yahan kis ka hai