nauhagar se na kisi aaina-khane se hui mo'tabar zat meri mere zamane se hui rang kya kya na bhare husn-e-nazar ne lekin teri taswir mukammal tere aane se hui qadr-o-qimat in andheron ki na puchho mujh se raushni ghar mein charaghon ke jalane se hui raste ka koi patthar nahin pahchan bana jitni tashhir hui khak udane se hui mutmain mar ke hua karta hai jine wala jab bhi kam bhuk hui thokaren khane se hui katranen jod ke tayyar kiya apna libas izzat-e-faqr faqiri ko chhupane se hui jab badhi had se khushi bhig gai hain aankhen gham ki tahrik hamein jashn manane se hui itna gham pyas ka apni nahin 'najmi' ne kiya jitni taskin koi aag bujhane se hui