ai yar mujh afsurada-e-hijran ko pahunch tu ai rashk-e-masiha tan-e-be-jaan ko pahunch tu fariyaad-kash ek bose ka hun tere labon se ai surma misi ke meri afghan ko pahunch tu gar aatish-e-dil nalon ki sarsar se na sulge mat sard ho daman-e-bayaban ko pahunch to bikhre hain sharar dil ke mere dud-e-fughan mein apne hi sar-e-zulf-e-zar-afshan ko pahunch tu shayad ki ho is baghi chaman mir ka manzur shabnam ho ke ai ashk gulistan ko pahunch tu gar chah hai sarsabzi-e-bakhton ki diwane atfal ke pathraw ki baran ko pahunch tu pur-zang hai aaina-e-dil hind se 'uzlat' gar chahiye saf han to safahan ko pahunch tu