chhupa hun main sada-e-bansuli mein ki ta jaun pari-ru ki gali mein na thi taqat mujhe aane ki lekin ba-zor-e-ah pahuncha tujh gali mein ayan hai rang ki shokhi sun ai shokh badan tera qaba-e-sandali mein jo hai tere dahan mein rang o khubi kahan ye rang ye khubi kali mein kiya jiyun lafz mein mani sirijan maqam apna dil-o-jaan-e-'wali' mein