ai zamane teri raftar se dar lagta hai ab teri dosti se pyar se dar lagta hai kin hawaon ka asar tujh pe hua jata hai tere badle hue kirdar se dar lagta hai dekh sakta nahin nakaam tujhe duniya mein jit se apni teri haar se dar lagta hai dil ko aata nahin izhaar-e-mohabbat karna aur mujh ko tere inkar se dar lagta hai zist se pae hain gham itne ki ab to hum ko apni khushiyon ke bhi gulzar se dar lagta hai is qadar shor hai in panw ki zanjiron ka mujh ko pael ki bhi jhankar se dar lagta hai nukta-chini hai sab ahbab ka shewa 'sagar' is liye apni hi guftar se dar lagta hai