ai 'zauq' waqt nale ke rakh le jigar pe hath warna jigar ko roega tu dhar ke sar pe hath chhoda na dil mein sabr na aaram ne qarar teri nigah ne saf kiya ghar ke ghar pe hath khae hai is maze se gham-e-ishq mera dil jaise gurisna mare hai halwa-e-tar pe hath khat de ke chahta tha zabani bhi kuchh kahe rakkha magar kisi ne dil-e-nama-bar pe hath jun panch-shakha tu na jala ungliyan tabib rakh rakh ke nabz-e-ashiq-e-tafta-jigar pe hath qatil ye kya sitam hai ki uthta nahin kabhi aa kar mazar-e-kushta-e-tegh-e-nazar pe hath main na-tawan hun khak ka parwane ki ghubar uthta hun rakh ke dosh-e-nasim-e-sahar pe hath ai shama ek chor hai baadi ye baad-e-subh mare hai koi dam mein tere taj-e-zar pe hath ai 'zauq' main to baith gaya dil ko tham kar is naz se khade the wo rakh kar kamar pe hath