dohra raha hun baat purani kahi hui taswir tere ghar mein thi meri lagi hui in bad-nasib aankhon ne dekhi hai bar bar diwar mein gharib ki khwahish chuni hui taza ghazal zaruri hai mahfil ke waste sunta nahin hai koi dobara suni hui muddat se koi dusra rahta hai hum nahin darwaze par hamari hai takhti lagi hui jab tak hai dor hath mein tab tak ka khel hai dekhi to hongi tum ne patangen kati hui jis ki judai ne mujhe shair bana diya padhta hun main ghazal bhi usi ki likhi hui lagta hai jaise ghar mein nahin hun main qaid hun milti hain rotiyan bhi jahan par gini hui sanson ke aane jaane pe chalta hai karobar chhuta nahin hai koi bhi handi jali hui ye zakhm ka nishan hai jaega der se chhutti nahin hai jaldi se mehndi lagi hui