ain mumkin hai kisi roz qayamat kar den kya khabar hum tujhe dekhen to baghawat kar den munis-e-gham hai hamara so kahan mumkin hai tujh ko dekhen to tere hijr ko rukhsat kar den pesh-goi kisi anjam ki jab milti nahin zindagi kaise tujhe waqf-e-mohabbat kar den us ko ehsas-e-nadamt hai to phir lut aae shayad is bar bhi hum us se riayat kar den sufi-e-ishq ki masnad mere hath aa jae mere ahbab agar mujh ko malamat kar den mausam-e-hijr bhi hans deta hai jis waqt teri yaad ke phul khayalon se shararat kar den aakhiri bar use is liye dekha shayad us ki aankhen meri uljhan ki wazahat kar den