na jaane kaisi mohabbat ke wade raat jale jala jo khat to sakhi mere donon hath jale guzara din jo udasi mein sham kahne lagi bahut akeli hun main koi mere sath jale palat ke haal na puchha fareb-karon ne ye dil ke sath mere ek aur ghat jale ganwa ke baithi hun main aaj apna sabr-o-qarar ki sath chand ke meri tu sari raat jale main us kahani ka kirdar hun ki jis mein sada wafa ko likhne se pahle hi mera hath jale khizan ke baad bahaaron ki rah dekhi to ye haif sad ki meri aarzu ke pat jale hai pyas aisi ki 'dilshad' aansu tak hain piye ki tere hijr mein dil mera baat baat jale