ain-mumkin hai ye zahmat bhi uThani paD jae

'ain-mumkin hai ye zahmat bhi uthani pad jae
baaton baaton mein koi baat chhupani pad jae

soch kar aur koi ‘uzr bhi rakkhen shayad
ru-baru us ke ye taujih purani pad jae

dar-ba-dar phirte hain is aas pe hum dil-zadagan
kisi raste mein koi sham suhani pad jae

maslahat odhne walon ko ye ma'lum nahin
apne raste ki ye diwar jo dhani pad jae

dekhte hain jise aaina-e-dil mein aksar
wahi taswir jo duniya ko dikhani pad jae

shahr ke tarz-e-taghaful se to behtar hai 'munir'
apne hisse mein koi naql-e-makani pad jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close