aisa bhi nahin bhule se KHwahish hi nahin ki

aisa bhi nahin bhule se khwahish hi nahin ki
pane ki use shauq se koshish hi nahin ki

us ne tabhi nirwan ke qabil nahin jaana
us but ki dil-o-jaan se parastish hi nahin ki

barsa wo mere jote hue khet pe ek bar
baadal ne palat kar kabhi barish hi nahin ki

us husn-e-mujassam ko shikayat hai ki main ne
ghairon ki tarah us ki sataish hi nahin ki

main samne us shakhs ke dil khol ke rakhta
ahwal ki us ne kabhi pursish hi nahin ki

haq par mere hone mein koi shak to nahin tha
is martaba kya jaan ke nalish hi nahin ki

masnad mujhe darbar mein milti bhi to kaise
mil kar kisi darbari se sazish hi nahin ki

shayad ki khushamad se qalam rok na pata
nahaq kisi hakim ne nawazish hi nahin ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close