jo shakhs aab-o-hawa par yaqin rakhta hai wo mausamon ki ata par yaqin rakhta hai tamam umr mohabbat nahin mili jis ko suna hai wo bhi khuda par yaqin rakhta hai charagh us ka kabhi bhi jala nahin lekin wo aaj tak bhi dua par yaqin rakhta hai hamesha tut ke aata hai mere pahlu mein wo bewafa bhi wafa par yaqin rakhta hai koi gharaz nahin us ko kisi sakhawat se faqir apni sada par yaqin rakhta hazar us ko sahaare milen magar 'sahil' na-bina apne asa par yaqin rakhta hai