aisa bhi nahin us se mila de koi aa kar kaisa hai wo itna to bata de koi aa kar ye bhi to kisi man ka dulara koi hoga is qabr pe bhi phul chadha de koi aa kar sukhi hain badi der se palkon ki zabanen bas aaj to ji bhar ke rula de koi aa kar barson ki dua phir na kahin khak mein mil jae ye abr bhi aandhi na uda de koi aa kar ye koh ye sabza ye machalti hui nadiyan mar jaun jo manzil ka pata de koi aa kar har ghar pe hai aawaz har ek dar pe hai dastak baitha hun ki mujh ko bhi sada de koi aa kar is khwahish-e-nakaam ka khun bhi mere sar hai zinda hun ki is ki bhi saza de koi aa kar