aaya hun sang o khisht ke ambar dekh kar khauf aa raha hai saya-e-diwar dekh kar aankhen khuli rahi hain meri intizar mein aae na khwab dida-e-bedar dekh kar gham ki dukan khol ke baitha hua tha main aansu nikal pade hain kharidar dekh kar kya ilm tha phisalne lagenge mere qadam main to chala tha rah ko hamwar dekh kar har koi parsai ki umda misal tha dil khush hua hai ek gunahgar dekh kar