aisa hai ki sab khwab musalsal nahin hote jo aaj to hote hain magar kal nahin hote andar ki fazaon ke karishme bhi ajab hain meinh tut ke barse bhi to baadal nahin hote kuchh mushkilen aisi hain ki aasan nahin hotin kuchh aise muamme hain kabhi hal nahin hote shaistagi-e-gham ke sabab aankhon ke sahra namnak to ho jate hain jal-thal nahin hote kaise hi talatum hon magar qulzum-e-jaan mein kuchh yaad-jazire hain ki ojhal nahin hote ushshaq ke manind kai ahl-e-hawas bhi pagal to nazar aate hain pagal nahin hote sab khwahishen puri hon 'faraaz' aisa nahin hai jaise kai ashaar mukammal nahin hote