zabt ne bhincha to aasab ki chikhen niklin hausla tuta to ahbab ki chikhen niklin wahshaten aisi alamnak nataej mein milin jin ke imkan pe asbab ki chikhen niklin us se firaun ke akhlaq ne mangi hai panah us se shaddad ke aadab ki chikhen niklin dubne wale ne kis ishq se tan pesh kiya shiddat-e-wasl se girdab ki chikhen niklin aise guftar ne kirdar ki khilat nochi mathe likkhe hue alqab ki chikhen niklin jo na lai gai us tab ki chikhen niklin munh pe padte hue tezab ki chikhen niklin lafz ubhre to samawat ke kangare dole aur jab dube to mehrab ki chikhen niklin