aisa ho zindagi mein koi khwab hi na ho andhiyari raat mein koi mahtab hi na ho sukhe darakht ki tarah dariya mein gir paden marne ke waste koi sailab hi na ho puja karen magar na dua ko uthaen hath shahr-e-hawas mein mabad-e-arbab hi na ho mar jaen is se pahle ki wo faisla karen hathon mein koi pyala-e-zahrab hi na ho 'mamun' jal ke khak mein mil jae chashm-e-tar aansu bahane chashma-e-sardab hi na ho