safar ke baad bhi mujh ko safar mein rahna hai nazar se girna bhi goya khabar mein rahna hai abhi se os ko kirnon se pi rahe ho tum tumhein to khwab sa aankhon ke ghar mein rahna hai hawa to aap ki qismat mein hona likkha tha magar main aag hun mujh ko shajar mein rahna hai nikal ke khud se jo khud hi mein dub jata hai main wo safina hun jis ko bhanwar mein rahna hai tumhaare baad koi rasta nahin milta to tai hua ki udasi ke ghar mein rahna hai jala ke kaun mujhe ab chale kisi ki taraf bujhe diye ko to 'adil' khandar mein rahna hai