aisa jadu kiya baat hi baat mein

aisa jadu kiya baat hi baat mein
nind aati nahin ab mujhe raat mein

kaun shair tere husn ki aanch ko
dhaal paya kabhi apne naghmat mein

bhini bhini wo khushbu tere zulf ki
aa hi jati hai mere khayalat mein

koi shair nahin bas tujhe dekh kar
lahr uthne lagi mere jazbaat mein

tu nahin to shafaq mein bhi surkhi nahin
phul bhi ho gae zard baghat mein

tere 'maqsud' ki hai ye hasrat faqat
dekh le tujh ko rukhsat ke lamhat mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close