dard-e-dil soz-e-jigar bhi rakhna jis mein sauda ho wo sar bhi rakhna kucha-e-ishq mein rakkha hai qadam to hatheli pe ye sar bhi rakhna us ki rahmat se umid aur dil mein su-e-anjam ka dar bhi rakhna dil mein paiwast hue tir-e-nazar kaam aaya na sipar bhi rakhna kuch karna hai tumhein bhi ek din sath kuchh zad-e-safar bhi rakhna ras 'maqsud' khushi gar aae gham ke maron pe nazar bhi rakhna