aisa lagta hai samajhdar hai duniya sari main hun is par to us par hai duniya sari is nai daud mein aage hai na pichhe koi dam-e-ujlat mein giraftar hai duniya sari dosti aur dikhawe ki mohabbat karna sab ka shewa hai adakar hai duniya sari qafile dil ke sar-e-am hain lute jis ne usi rahzan ki talabgar hai duniya sari aap andaz kuchh apna to badal lete 'farogh' chaliye mana ki khatawar hai duniya sari