aql ki aisi tabedari hai khwahishon mein bhi inkisari hai chal padi hai ajal ki rahon par zindagi be-khabar sawari hai dil se apne jo haar jate hain sari duniya unhin se haari hai is maishat mein kaamyabi ka raaz kaun kitna bada juari hai din samjhe hain jis ko aap 'farogh' shaikh ji ki dukan-dari hai