aisa mumkin hi nahin dard mein har fard na ho

aisa mumkin hi nahin dard mein har fard na ho
koi chehra to dikha khauf se jo zard na ho

tera shaffaf badan khak nahin patthar hai
kaise mumkin hai badan khak ka ho gard na ho

aisa ehsas hai jine mein na mar jaane mein
dil mein thandak bhi rahe aur badan sard na ho

koi tawiz bata jis ke asar se murshid
zakhm par zakhm to aa jae magar dard na ho

dekhta hun to jigar phatne ko aa jata hai
mere maula koi mazur jawan-mard na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close