kya ye maqtul ki aulad ki tauhin nahin

kya ye maqtul ki aulad ki tauhin nahin
ek bhi shakhs bhare shahr mein ghamgin nahin

dosti wajh-e-aziyyat bhi hua karti hai
jaise main tere liye bais-e-taskin nahin

main ne din-raat ko har rang mein dhalte dekha
koi rukh waqt ki taswir ka rangin nahin

ajnabi soch ke aana meri mitti ki taraf
kurra-e-arz ka har mulk filistin nahin

roz lagte hain bhale mujh ko hazaron chehre
dil ki taklif ka bais koi do tin nahin

kuchh taghayyur mein agar hai to dikha aankhon ko
zindagi main tere din-raat ka shauqin nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close