aisa na mujhko KHwab-e-pareshan dikhai de

aisa na mujh ko khwab-e-pareshan dikhai de
kashti ho jis jagah wahin tufan dikhai de

yun be-naqab aariz-e-jaanan dikhai de
har zarra aaftab-ba-daman dikhai de

wo mast-e-naz-e-husn jahan jalwa-bar ho
sham-e-bala bhi subh-e-bahaaran dikhai de

khuddar hun wo ishq mera ishq hi nahin
jo mubtala-e-minnat-e-darban dikhai de

us parsa ko la ke dubo de sharab mein
saqi jo mai-kade mein gurezan dikhai de

mera junun nahin hai jo mausam ke faiz se
sharminda-e-bahaar-e-gulistan dikhai de

us ke junun-e-ishq ka aalam na puchhiye
har phul jis ko aariz-e-jaanan dikhai de

'shabbir' ko yaqin hai ki aae agar wo shokh
kanton ki sarzamin bhi gulistan dikhai de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close