aankh shair ki ho pur-nam to ghazal hoti hai

aankh shair ki ho pur-nam to ghazal hoti hai
yaad-e-jaanan ka ho aalam to ghazal hoti hai

sans chhupne lage nashtar ki tarah sine mein
dil ko tadpae shab-e-gham to ghazal hoti hai

kabhi chha jae andhera kabhi chamke mahtab
zulf us rukh pe ho barham to ghazal hoti hai

meri jaanib mere saqi ki ho makhmur nazar
aur ho kaif ka aalam to ghazal hoti hai

shab-e-mahtab ho jazbaat hon aur sehn-e-chaman
husn aise mein ho hamdam to ghazal hoti hai

yak-ba-yak kanon mein aane lage aawaz-e-sarosh
zindagi chhed de sargam to ghazal hoti hai

ruh masrur ho ehsas ke sannate mein
daman-e-gul pe ho shabnam to ghazal hoti hai

dekh kar chaak mere jaib-o-gareban 'shabbir'
hans pade husn-e-mujassam to ghazal hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close